Nirankari
Depression
Posts  1 - 3  of  3
ranjeet567
log baba ji ke peeche kyon bhagte hai,jabki baba ji ki bato ke peeche bhagna chahiye.Aur jab unki manokamna poori nahi hoti to log depression mein aa jate hai aur kehte hai ki baba ji ne kuch nahi kiya,mera kya phayda satsang sewa simran aur baba ji ke peeche bhagne ka.
Save
Cancel
Reply
replied to:  ranjeet567
roh4864
Replied to:  log baba ji ke peeche kyon bhagte hai,jabki baba ji ki...
Mahapurshu baat depression ki nahi bhavana ki hai , log jo ye kehte hai ki hamara satsang karne ka kya fayda kyun ki kaam nahi hota , to isme ek baat ye hai ki kya hum fayde ke liye ya apna kaam pura karvane ke liye satsang mein aate hain aur baba ji ke peeche bhagte hain.

jabke bhakti to samarpit bhav ka naam hai .

Aur dosra ye ki us narajgi ke peeche bhi gurusikho ka pyar hota hai kyun ki beta baap se nahi kahega to kisse kahega .

isliye jis din aap iske ho jayenge yeh aapka ho jayega.

ROHIT SHUKLA

AHEMDABAD
Save
Cancel
Reply
replied to:  ranjeet567
priyankam
Replied to:  log baba ji ke peeche kyon bhagte hai,jabki baba ji ki...
Dhan Nirankar Ji !

Bramhagyan lete samay hamne panch(5) pran man liye hai usame
pehla pran hai-tan, man,dhan prabhu ki den hai use nirakar prabhu ka hi samazna ,or uska abhiman nahi karna......
agar hamne sab kuch is nirakar par hi sop diya hai to hame chinta karne ki kya bat hai... jaise kabir das ji kehte hai-
fal karan seva kare,
kare na man se kam,
kahe kabir vo sevak nahi,
chahe chou-guna daam.
Hum man-aapman,sukh-dukh,asha-nirasha se kahi jyada upar hai...
Save
Cancel
Reply
 
x
OK